Suscribe Now

pc me easily hindi me typing karna

Computer me easily hindi metyping kaise kare…



Dosto ham sab ajkal roman hindi me type karte he. Jaise ki ki hamne is topic ko type kiya kyo ki ye sabhi ko samaj me asani se aa jata he isi parkar ki hindi ko hum mobile me sms chat se lekar google me koi bhi hindi me search karna he to type karte he.
Dosto ap sabhi ki is tarah ki typing me speed bhi kafi achchi he
. Lekin jab computer me hindi type karni hoti he to to hum “Kruti dev 0” me typing seekhate he. Jo ki seekh pana har kisi ki bat nahi he. Jab ki is “roman hindi” ko har koi achchi tarah se type kar leta he.
To dosto is trick me hum jange ki “romon hindi” me type karke wah type kiya hua hindi me type kaise hota he.
Android mobile me to hum google Indic keyboard download karke “Hinglish” me type karete he

Computer me “roman hindi” yani hinglish me typing karane ka software google ye banaya he jiska naam he Google Indic Input tool
Is software ko apne computer me download karne ke liye ap google me google indic tool  download search kare.
Ya fir is address me click kare…





Fir site open hone ke bad ap
Smart, easy to use and intuitive! Choose your languages
Likhe huye me se us language me mark kare jisme aap type karna chahte he….
Jaise hum Hindi me typing karna chahte he. To aap “Hindi” me mark karnge.
Fir



Download me click kare


Google Indic tool ka
Size: 965 kb he
Or
File name: google Indic tool setup.exe he.



Fir download file me click kare or fir "Run" me click kare

Software online data downloading lega lagbhag 10mb tak ka…



Fir jab download ho kar software Install hokar computer me “Taksbar” me  “En” likhe me click kare.


Or fir ap “HI Hindi(india) me click kare….


Fir jaha bhi apko hindi me type karna he waha par type kare jaise hame  “Notpade” me hindi me type karna he  to hamne “notepad” open kiya fir task bar me EN me click karke “HI Hindi(india)” me click kiya


Or fir ham ab notepad me normally “roman hindi” me type karate he. Lekin software use hindi me type karta he.

To dosto  isi tarah se “Panjabi, Gujrati any language me download karke type kar sakte he…….

Dont post spam links